Flipkart seller kaise bane, flipkart aur amazon par product kaise beche

Aaj ke is article me aapko Flipkart par product sell karne ke bare me btaunga jisse aap bhi apna online business start kar paye or acha khasa paisa kama paayein. aaj ke time me bahut se log business me hath mar rhe hain or kuch iske chakar me paisa lga kar business fail hone par ghar beth jate hain. ye tarika bahut hi galat hai agar aap ak middle class family se hain.

Han business me risk lena jaruri hai tabhi aap ak successful businessman ban paate hain lekin shuruat agar kam investment me ho to ye aapke liye bahut hi fayeda ka soda hoga. 

flipkart seller kaise bane

smart tarike se product bechna or business karne ka experience alag hi hai. agar aap bhi bina bhag daud ke aur na kisi dukan ka kiraye diye bina business shuru kar paye apne product sellout kar paye to kitna acha hoga.

Yeh bhi dekhe : keyboard ke kuch shortcut keys

Flipkart seller ban ne ke bad aapko apne product ka order sidha aapke mobile phone ya aapke computer par mil jata hai jiske bad aap delivery boy se us product ko deliver karwa sakte hain. jo ki ak bahut hi aasan step hai jinko follow karke aap ak successful seller ban sakte hain.

kaha se hui affiliate marketing ki shuruaat

Online selling ki starting sabse pehle america se hui thi uske baad dheere dheere isko bharat me bhi apnaya jaane laga. Aaj bharat me lagbhg 45% log online product mangwate hain jisme sabse jyada chalne wali website flipkart hai. Flipkart se amazon or baki website ki tulna me jyada bikri hoti hai.

kaise kare flipkart par product order

Sabse pehle aapko flipkart application ko open karna hai uske bad apne mobile number ki madad se log in or sign up kar lijiye.
Fir jo product aapko lena hai usko search karke select karna hai.
niche aapko buy now ka option dikhai dega aapko us par click karna hai aur aap purchase page par chle jayenge.
yaha aapko apna address dalna hai jaha aap us product ko mangwana chahte hain.
Aur fir payment mode select karke submit kar dena hai.
aapka product aapke diye huwe address par nirdharit time ke hisab se aa jayega.

Kaise bane ak seller

flipkart par seller ban ne ke liye sabse pehle aapko us website par jakar khud ko ak vendor ke jaise register karna padega.
uske liye aapko uski website par jana padega jaise agar aap flipkart seller ban na chahte hai to aapko flipkart website par jana padega, flipkart amazon aur meesho ka same proccess hai seller ban ne ka.
website par jane ke bad aapko mobile no. or email id dal kar otp se verification karne ke bad aapka registration form open ho jayega.


Is form me vendor ko apne product se related information ko fill krke submit button par click karke submit karna hota hai.
submit karne ke bad aap vendor ban chuke hote hain, ab aapko apne items ki listing flipkart par karni hoti hai.
Yahan terms and condition me saf likha hota hai ki product ko pack seller ko karke dena padta hai flipkart sirf logistics company ki madad se product ko deliver karwane ka kam karta hai.

Is tarah se aap online product selling karke paise kama sakte hain aur munafa kama sakte hain post ko share karo aur apne dosto ko bhi post share karke paise kamane me madad karo.